Utha Do Parda Dikha Do Chehra:
Naat lyrics in English writing:
- Utha do parda dikha do chehra ky noor e bari hijab main hai
Zamana tareeq ho raha hai ky mahr kab sy naqaab main hai
- Nahin wo methi nigah wala KHUDA ki rehmat hai jalwah farma
Ghazab sy un ky KHUDA bacha'ay jalal bari attab main hai
- Jali jali buu sy us ki payda hai sozish e chashm wala
Kabaab e aaho main bhi na paya mazah jo dil ky kabab main hai
- Unheen ki buu maya'ay saman hai unheen ka jalwah chaman chaman hai
Unheen sy gulshan mahak rahy hain unheen ki rangat gulab main hai
- Teri jalo main hai mah he taiba halal har marg o zindagi ka !
Hayat jaan ka rakab main hai mamaat aada ka daab main hai
- Sayah labasan e daar dunia o sabz poshan e arsh aalaa
Har ik hai un ky karam ka pyasa ya faiz un ki janib main hai
- Wo gul hain lab ha'ay nazuk un ky hazaron jhardty hain phool jin sy
Gulaab gulshan main daikhy bulbul ya daikh gulshan gulab main hai
- Jali hai soz e jigr sy jaan tak hai talab jalwaa mubarak
Sikha do wo lab ky aab hywaan ka lutf jin ky khitab main hai
- Khardy hain munkir nakeer sar par na koi hami na koi yawr !
Bta do aa kar mery payambar ky sakht mushkil jawab main hai
- KHUDA'AY Qah'har hai ghazab par kholyn hain badkaiyon ky daftar
Bacha lo aa kar shafeeay mahshar tumhara bandah azaab main hai
- Kareem aysa mila ky jis ky kholy hain hath aor bhary khazany
Batao ay mufliso ! ky phir kiyun tumhara dil iztirab main hai
- Gunah ki tareekiyan py cha'ayn umand ky kali ghata'ayn aa'ayn
KHUDA ky khursheed mahr farma ky zar'rah bas iztirab main hai
- Kareem apny karam ka sadqa la'aiyam e by qadr ko na sharma
Tu aor Raza sy hisab lyna Raza bhi koi hisab main hai