Kab Gunahon Se Kinara Main Karunga Ya Rab:
Munajat lyrics in English writing:
- Kab gunahon se kinara main karunga YA-RAB !
Naik kam ay mery ALLAH ! banun ga YA-RAB !
- Kab gunahon ky maraz sy main shifa pa'on ga
Kab main bimar, Madina ka banun ga YA-RAB !
- Gar tery piyary ka jalwah na raha pesh e nazar
Sakhtiyan naz'a ki kyun kar main sahun ga YA-RAB !
- Naz'a ky waqt mujhy jalwa'ay Mahbob dikha
Tera kya ja'ay ga main shad maroon ga YA-RAB !
- Qabr main gar na MUHAMMAD ky nazary hoon gy
Hashr tak kasy main phir tanha rahun ga YA-RAB !
- Dang mach'char ka saha jata nahin, kasy main phir
Qabr main bich'chu ky dang aah sahun ga YA-RAB !
- Ghup andhery ka bhi wahshat ka basyra ho ga
Qabr main kasy akela main rahun ga YA-RAB !
- Gar kafn phard ky sanmpoon ny jamaya qabza
Ha'ay barbadi ! kahan ja ky chopun ga YA-RAB !
- Ha'ay ! Mamoli si garmi bhi sahi jati nahin
Garmi e mahshar main phir kasy sahun ga YA-RAB !
- Aaj banta hun moaz'zar jo khuly hashr main ayyb
Aah ! ruswa'e ki aafat main phasoon ga YA-RAB !
- Pul sirat aah ! hai talwar ki bhi dhar sy tayz
Kis trah sy main isy par karon ga YA-RAB !
- Qabr Mahboob ky jalwoon sy basa dy malik
Ya Karam kar dy to main shad rahun ga YA-RAB !
- Gar tu naraz howa meri halakat ho gi
Ha'ay ! main nar-e-jahan'nam main jaloon ga YA-RAB
- Dard e sar ho ya bukhar aa'ay trdap jata hun
Main jahan'nam ki saza kasy sahun ga YA-RAB !
- Aff'wo kar aor sada ky liye razi ho ja
Gar karam kar dy to jan'nat main rahun ga YA-RAB !
- Tu hai Mua-ti wo hy Qasim ya Karam hai tera
Tery Mahbob ky tukrdon py paloon ga YA-RAB !
- Chashm e nam dy gham e sultan e umam dy MAOLA !
Un ka kab aasheq e sadiq main banoon ga TA-RAB !
- Dy dy marny ki Madiny main sa'adat dady
Kis trah sindh ky jang'gal main maroon ga YA-RAB !
- Mujh gunah-gar py gar khas Karam ho ja'ay !
Jaam, Taiba main shahadat ka piyun ga YA-RAB !
- Haj ka har saal sharaf dady to mak'ky a kar
Jhoom kar kaaby ky chao gird phiroon ga YA-RAB !
- Kash ! har saal Madiny ki baharyn daykhun
Sabz Gunmbad ka bhi dedar karoon ga YA-RAB !
- Izn sy tery sar hashr jahyn kash ! Huzoor
Sath Attar ko jan'nat main rakhun ga YA-RAB !
