Afsos Bohat Door Hoon Gulzar-e-Nabi Se:
Naat lyrics in English writing:
- Afsoos Bohat door hoon Gulzar e Nabi se
Kash aa'ay bolawa mujhy darbar e Nabi se
- Ulfat hai mujhy geso'ay khamdar e Nabi se
Abro o palak aankh se rukhsar e Nabi se
- Payrahan o chadar sy assa sy haim Mahab'bat
Naalayn e shareefayen sy dastar e Nabi se
- Bosari ! mubarak ho tumhyn burdiyamani
Soghat mili khob hai darbar e Nabi se
- Bimar ! na mauoos ho tu husn e yaqeen rakh
Dam ja ky karaly kisi bimar e Nabi se
- Tu khowab main Hasnain ky sadqy main KHUDA-YA
Farma dy mushar'raf mujhy dedar e Nabi se
- ALLAH ko many jo MUHAMMAD ko na many
Larayyb wo nari howa inkar e Nabi se
- Wo nar e jahan'nam ka hai haqdar yaqeenan
Hai jis ko adawat kisi bhi yar e Nabi se
- Ay za'ir e taiba ! ya dua kar mery haq main
Mujh ko bhi bolawa mily darbar e Nabi se
- Dunia ky nizaroon sy bhala kia ho sarokar
Osh'shaq ko bas ishq hai gulzar e Nabi se
- Dewanoon ky aanso nahin thamty dam rukhsat
Jab so'sy watan jaty hain darbar e Nabi se
- Jalwaoon sy KHUDA-RA meri sena ho madina
Aankhyn bhi hoon thandi meri dedar e Nabi se
- Sun'nat hai safr deen ki tablegh ki khatir
Milta hai hamyyn dars ya asfar e Nabi se
- Mastana madina main KHUDA aysa bana dy
Takra ky main dam tord dun dewar e Nabi se
- Sadqy main mery Ghos ky ho door andhyra
Turbat ho munaw'war meri anwar e Nabi se
- Jab qabr main aa'ayn gy to qadmoon main giroon ga
Khood aankhyn maloon ga main yo payzar e Nabi se
- Attar hai iman ki hifazat ka sowali
Khali nahin ja'ay ga ya darbar e Nabi se