Ramzan Kalam
Dil Haye Gunahon Se Bezaar Nahi Hota:
Naat lyrics in English writing:
- Dil haye gunahon se bezar nahi hota
Mughlob shaha ! nafs e badkar nahi hota
- Shetan musal'lat hai afsoos ! kisi sorat
Ab sabr gunahoon par sarkar nahi hota
- Ayy rab ky habib a'ao ! ayy mery tabib a'ao
Acha ya gunahon ka bimar nahi hota
- Goo lakh karon koshish islah nahi hoti
Pakezah gunahon sy kirdar nahin hota
- Ya sans ki mala ab bas totany wali hai
Dil Aah ! magr ab bhi baydar nahi hota
- Sun'nat ki tarf logo tum kyun nahi aa jaty
Kyun sard gunahon ka bazar nahi hota
- Sarkar ka aashiq bhi kia dardhi mundata hai !
Kyun ishq ka chehry sy izhar nahi hota
- Aaqa ki ita'at sy ji apna choraty hain
Jo, aysoon sy khush rab'b e ghuf'far nahi hota
- Jeny ka mazah us ko milta hi nahi jis ka
Dil ishq e Muhammad sy sarshar nahi hota
- Jo yad e Madina main din rat tardapty hain
Dur un sy Madiny ka darbar nahi hota
- Maghmoon hai gham jis ko Aaqa ka nahi milta
Bemar hai jo un ka bimar nahi hota
- Khushiyun main mas'sarat main Aasa'ish o rahat mai
Asrar e mahab'bat ka izhar nahi hota
- Wo ishq e haqeqi ki laz'zat nahin pasakta
Jo ranj o musebat sy do char nahin hota
- Aay za'ir e taiba ! to dam tord dy chokhat par
Dedar, Madiny ka har bar nahin hota
- Kon aysi kary jor'at keh sakta nahin aaqil
Sarkar ka dewanah hoshiyar nahi hota
- Aaja'ay Madiny main ly ja'ay zara si khak
Jo thek kisi sorat bimar nahin hota
- Aay sa'ilo ! aaja'o aor jholiyan phyla'o
Darbar e Risalat sy ink'kar nahin hota
- Wo bahr e sakhawat hain wo qasim e nemat hain
Taiba ka gada hargiz nadar nahin hota
- Duniya main bhi thanda hai uqbaa main bhi thanda hai
Jo un ka hai dewanah wo khowar nahi hota
- Duniya main bhi chalta hai uqbaa mai bhi jalta hai
Main kesy kahoon munkir fi-n-nar nahin hota
- Chordo aay firishto wo, aaty hain shafa'at ko
Wo jis ky bhi hami hain fin'nar nahin hota
- Afsoos nadamat bhi iseyan py nahin hoti
Nayki ki tarf ma'il attar nahin hota
- Aaqa ka gada ho kar attar to ghabra'ay
Ghabra'ay wohi jis ka ghamkhowar nahin hota
