Likh Raha Hoon Naat e Sarwar Sabz Gumbad Dekh Kar:
Naat lyrics in English writing:
- likh raha hoon naat e sarwar sabz gumbad dekh kar
Kayf tari hai qalam par sabz gumbad daikh kar
- Hai muqad'dar yawari par sabr gumbad daikh kar
Phir na kyun jhomy sana gar sabz gumbad daikh kar
- Masjid e Nabwi py pohanchy Marhaba Sal'li alaa
Ho gaya jari zaban par sabz gumbad daikh kar
- Jun hi main pohncha Madina ki gali main beqarar
Aankh meri ho ga'e tar sabz gumbad daikh kar
- Rooh ko taskeen jaan e muztarib ko chayn hai
Dil ko bhi raham muyas'sar sabz gumbad daikh kar
- Unky mangty, unky sa'il do jahan ki naimatyn
Mangty hain hath utha kar sabz gumbad daikh kar
- Aap sy bas aap hi ko mangta hai Ya-Nabi !
Aap ka adnaa gadagar sabz gumbad daikh kar
- Landon o pairs ka ashiq bhi yaqeenan Marhaba !
Bol uthy g a rooh parwar sabz gumbad daikh kar
- Dhoop rozana Madina jhoom kar hai chomti
Aor lipat jati hai aa kar sabz gumbad daikh kar
- Choom leta hai Madina roz aa kar aaftab
Phir lipat jata hai aa kar sabz gumbad daikh kar
- Toot ja'ay dam Madina main mera Ya-Rab ! baqe
Kash ho ja'ay muyas'sar sabz gumbad daikh kar
- Jab juda'e ki ghardi aati hai to koh e alam
Toot pardta hai diloon par sabz gumbad daikh kar
- Aap ki galiyoon ky kut'ty mujh sy to ach'chy rahy
Hai sokoon un ko muyas'sar sabz gumbad daikh kar
- Waqt e rukhsat khoon ugalty thy mery qalb o jigar
Aankh ro pardti thi aksar sabz gumbad daikh kar
- Mery murshid ny guzary hain Madina main baras
Un ki Rahmat sy satat'tar sabz gumbad daikh kar
- Ya-Rasool Allah ! Murshid par Karam hon by shumar
So'ay hain qadmoon main aa kar sabz gumbad daikh kar
- Aah ! aay Attar itna bhi na tujh sy ho saka !
Jaan kar deta nichawar sabz gumbad daikh kar