Kya Sabz Sabz Gumbad Ka Khoob Hai Nazara:
Naat lyrics in English writing:
- Kya sabz sabz gumbad ka khood hai nazara
Hai kis qadar sohana kysa hai piyara piyara
- Anwar yaa chama cham barsa'ayn abr e payham
Por-noor sabz gumbad por-noor har manarah
- Peysh e nazar ho har dam bas sabz sabz gumbad
Dil main basa rahy bas jalwah sada tumhara
- Sa'ay main sabz gumbad ky tordny bhi do dam
Charah garo ! KHUDA-RA koi karo na charah
- Ghous ul waraa ka sadqa aysa dy apna gham bas
Roty ho'ay hi guzry sarkar ! waqt sara
- Senah bany Madina dil main basy Madina
Yadoon main apni rakhi'ye gum Ya-Nabi ! KHUDA-RA
- Mat chordi'ye mujhy ab dunia ki thokaron par
Bas aap hi ky turdoon par ho mera guzarah
- Sarkar ! Hub'by duniadil dy mery nikalo
Dewanah abb bana-lo ! apna mujhy KHUDA-RA
- Tardpa karun sadaa main ayy kash ! tery gham main
Ha'ay ! mujhy zamany ky ranj o gham ny mara
- Gir ya konaan hain YA-RAB ! shoq e Madina main jo
Taiba ka kash ! woh bhi kar lyn kabhi zazara
- Ranj o alam ky badal sary hi chat ga'ay hain
Jab bhi tardap ky ham ny Sarkar ko pukara
- Thukra dy jis ko dunia us ko galy lagana
Ya kam hai tumhara Ya-Mustafaa ! tumhara
- Taiba main abb to mujh ko do gaz zamen dydo
Kab tak phiroon main dar dar sarkar mara mara
- Dy do baqee dy do, mujh ko baqe dy do
Kar-do sowal pora piyary Nabi KHUDA-RA
- Hain Mustafa madadgar ayy dushmano khabar-dar !
Ya mat samjhna hami koi nahin hamara
- Hain dushmanoon ny ghyra LIL'LAAH koi phera
Ya-Mustafa KHUDA-RA abb aa ky do sahara
- Kar dy adoo ko gharat, hasid ko dy hidayat
Pori ho qalb e muztar ki arz kirdgaraa
- Zalim dara rahy hain, aankhyn dikha rahy hain
Aaqa ! do jald aa kar Attar ko sahra