Karun Har Aan Main Teri Itaat:
Naat lyrics in English writing:
- Karun har aan main teri ita'at Ya-Rasool-al-Allah
Pa'ay murshid bana dy naik seerat Ya-Rasool-al-Allah
- Andheri qabr hai aor ha'ay ! main bilkul akela hun
Ab aa bhi ja'o ay mahr e Risalat ! Ya-Rasool-al-Allah
- Baqe'ay pak main so ja'oon main aaram sy ay kash !
Muyas'sar aa'ay gi kyun teri qurbat Ya-Rasool-al-Allah
- Azaab e qabr o mahshar sy bacha lo nar e dozakh sy
Kkhuda ra sath ly ky ja'o jan'nat Ya-Rasool-al-Allah
- Jo ghus'sa naffs lo khatir mujhy Aaqa kabhi aa'ay
Mily sabr o shikeebai ki dolat Ya-Rasool-al-Allah
- Mujhy ranj o aalam ny har taraf sy ghyr rakha hai
Dukhi dil ko Karam sy deed o rahat Ya-Rasool-al-Allah
- Atta kar-do mujhy islam ki tablegh ka jazbah
Main bas dyta phirun naiki ki dawat Ya-Rasool-al-Allah
- Yaqeenan aam ka in'am hai ya mil ga'ay mujh ko
Shahanshah e baryli Aala Hazrat Ya-Rasool-al-Allah
- Mujhy tum maslak e Ahmad Raza par istiqamat do
Banun khidmat guzar e ahl e sun'nat Ya-Rasool-al-Allah
- Tumhara hi to y\ lutf o Karam hai Rahmat e aalam !
Ziya-ud-deen Madani sy hai nisbat Ya-Rasool-al-Allah
- Madiny ki juda'i main jo byy chary trdapty hain
Inhyn dy do madiny ki ijazat Ya-Rasool-al-Allah
- Musalmaan baz aaja'ayn shaha ! fyshan parasti sy
Karam kar-do banyyn paband e sun'nat Ya-Rasool-al-Allah
- Mery wabastagan ki aor mery sary qabely ki
Tumhyn ! iblees sy karna hifazat Ya-Rasool-al-Allah
- Umar ka wasita aada'ay deen barbad ho ja'ayn
Mily har aik hasid ko hidayat Ya-Rasool-al-Allah
- Shaha ! is ijtima'ay pak main jitny musalman hain
Ho sab ki maghfirat ho sab py Rahmat Ya-Rasool-al-Allah
- Tera Attar aana chahta hai tery rozy par
Aata ho hazeri ki phir sa'adat Ya-Rasool-al-Allah