Mujhay Bakhsh Day Be Sabab Ya Ilahi:
Munajat lyrics in English writing:
- Mujhy bakhsh day be sabab YA-ILAHI
Na karna kabhi bhi ghazab YA-ILAHI
- Gunahon ny ha'ay ! kahin ka na chorda
Main kab tak phirun khowar ab YA-ILAHI
- Pa'ay shah e bat'ha Meri choot ja'ayn
Bori aadatyn sab ki sab YA-ILAHI
- Barda haj py aany ko ji chahta hai
Bolawa ab aa'ay-ga kab YA-ILAHI
- Main mak'ky main aa'oon Madiny main aa'oon
Bana koe aysa sabab YA-ILAHI
- Main dykhun Madiny ka gulshan dikha dy
Tu dasht o jibal e arab YA-ILAHI
- Karam aysa kar dy Madiny main aa kar
Guzaroon main phir roz o shab YA-ILAHI
- Dikha dy bahar e Madina dikha dy
Pa'ay tajidar e arab YA-ILAHI
- Saleqa shiari ka main hun bhikari
Mity kho'ay shor o ghalab YA-ILAHI
- Mily byqarari karoon aah wazari
Tery khof sy piyary RAB YA-ILAHI
- Karoon aalimoon ki kabhi bhi na toheen
Bana dy mujhy ba adab YA-ILAHI
- Hussain ibn e Haider ky sadqy main MAOLA
Talyn afatyn meri sab YA-ILAHI
- Zamany ki fikroon ky sadqy main MAOLA
Mita gham atta kar tarab YA-ILAHI
- Jo Manga Wo dy mujh ko wo bhi atta kar
Nahin kar saka jo talab YA-ILAHI
- Mualmann Musalman ky khof ka piyasa
Howa waqt aaya ajab YA-ILAHI
- Sabhi aik ho ja'ayn iman waly
Pa'ay shah e aali nasab YA-ILAHI
- Kabhi to mujhy khowab main mery MAOLA
Ho dedar e mah e arab YA-ILAHI
- KHUDA-YA bory khatimy sy bacha ly
Gunahgar hai jaan bakab *( balab )* YA-ILAHI
- Nazar main MUHAMMAD ky jalwy basy hoon
Chalon is jahan sy main jab YA-ILAHI
- Bas e marg ho roz e roshan ki man'nand
Meri qabr ki terah shab YA-ILAHI
- Gunhoon sy Attar ko dy moafi
Karam kar, na karna ghazab YA-ILAHI