Wo Kamal e Husn e Huzoor Hain:
Naat lyrics in English writing:
- Wo kamal e husn e huzoor hai ky guman e naqs jahan nahi
Yehi phool khar sy dor hai yehi shama hai ky dhowan nahi
- Do jahan ki behtariyan nahin ky amani dil o jan nahi
Kaho kia hai wo jo yahan nahin magar aik "nahin" ky wo hain nahi
- Main Nisar tery kalam par mili yun to kis ko zaban nahi
Wo sukhan hai jis main sokhan na ho wo bayan hai jis ka bayan nahi
- BAKHUDA KHUDA ka yehi hai dar nahi or koi mafar maqar
Jo wahan sy ho yahin aa ky ho jo yahan nahin to wahan nahi
- Kary Mustafa ki iha-niyatyn khilyn bandon us py ya jur'atyn
Ky main kia nahi hon Muhammadi! ary han nahi ary han nahi
- Tery agy yun hain daby lachy fosaha arab ky bardy bardy
Koi jany munh main zuban nahi, nahi balky jisam main jan nahi
- Wo sharaf ky qata hain nisbatyn wo karam ky sab sy qareeb hain
Koi kehd o yaas o umeed sy wo kahyn nahin wo kahan nahi
- Ya nahi ky khold na ho niko wo nikoi ki bhi hai aabaro
Magr ay Madina ki aarzo jisy chahy to wo saman nahi
- Hai unhin ky noor sy sab ayan hai unhin ky jalwo main sab nahan
Bany subha tabish mahr sy rahy phesh mehr ya jaan nahi
- Wohi noor e haq wohi zal'l e Rab hai inhin sy sab hai inhin ka sab
Nahi in ki milk mai aasman ky zamin nahin ky zaman nahi
- Wohi lamaqa ky makin ho'ay sar e arsh takht nashin ho'ay
Wo Nabi hai jis ky hain ya maqan wo KHUDA hai jis ka maka nahi
- Sar e arsh par hai teri guzar dil e farsh par hai teri nazar
Malakot o mulk main koi shy nahin wo jo tujh py ayan nahi
- karon tery naam py jaan fida na bas aik jahan do jahan fida
Do jahan sy bhi nahi ji bhara karon kia karoron jahan nahi
- Tera qad to nadar e dahr hai koi misl ho to misal dy
Nahin gul ky podon main daliyan ky chaman main sar o chaman nahi
- Nahin jis ky rang ka dosra na to ho koi na kabhi howa
Kaho us ko gul kahy kia Nabi ky gulon ka dhair kahan nahi
- Karon madh e ahl e dowal Raza pardy is bala main meri bala
Main gada hun apny kareem ka mera deen e para'e na nahi
